ये आरज़ू नहीं कि दुआएँ हज़ार दो / Ye Aarzoo Nahin Ke Duaen Hazar Do

ये आरज़ू नहीं कि दु'आएँ हज़ार दो
पढ़ के नबी की ना'त लहद में उतार दो

सुनते हैं जाँ-कनी का है लम्हा बहुत कठिन
ले कर नबी का नाम ये लम्हा गुज़ार दो

कहते हैं जाँ-कनी का है लम्हा बड़ा कठिन
ले के नबी का नाम ये लम्हा गुज़ार दो

गर जीतना है 'इश्क़ में लाज़िम ये शर्त है
खेलो अगर ये बाज़ी तो हर चीज़ हार दो

मेरे करीम ! मैं तेरे दर का फ़क़ीर हूँ
अपने करम की भीक मुझे बार-बार दो

देखा अभी अभी है नज़र ने जमाल-ए-यार
ऐ मौत ! मुझ को थोड़ी सी मोहलत उधार दो

ये जान भी, ज़हूरी ! नबी के तुफ़ैल है
इस जान को हुज़ूर का सदक़ा उतार दो


शायर:
मुहम्मद अली ज़हूरी क़सूरी

ना'त-ख़्वाँ:
सरवर हुसैन नक़्शबंदी
ओवैस रज़ा क़ादरी





ye aarzoo nahi.n ki du'aae.n hazaar do
pa.Dh ke nabi ki naa't lahad me.n utaar do

sunte hai.n jaa.n-kani ka hai lamha bahut kaThin
le kar nabi ka naam ye lamha guzaar do

kehte hai.n jaa.n-kani ka hai lamha ba.Da kaThin
le ke nabi ka naam ye lamha guzaar do

gar jeetna hai 'ishq me.n laazim ye shart hai
khelo agar ye baazi to har cheez haar do

mere kareem ! mai.n tere dar ka faqeer hu.n
apne karam ki bheek mujhe baar-baar do

dekha abhi abhi hai nazar ne jamaal-e-yaar
ai maut ! mujh ko tho.Di si mohlat udhaar do

ye jaan bhi, Zahoori ! nabi ke tufail hai
is jaan ko huzoor ka sadqa utaar do


Poet:
Muhammad Ali Zahoori Qasoori

Naat-Khwaan:
Sarwar Hussain Naqshbandi
Owais Raza Qadri
Ye Aarzoo Nahi Ke Duaen Hazar Do Lyrics in Hindi | Ye Arzoo Nahi K Duain Hazar Do Lyrics | Parh Ke Nabi Ki Naat Lahad Mein Utar Do Lyrics | Muhammad Ali Zahoori Naat Lyrics | aarzu arzu ki duaein hazaar padh kar me utaar lyrics of naat, naat lyrics in hindi, islamic lyrics, hindi me naat lyrics, hindi me naat likhi hui, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics, हिंदी नात, Lyrics in English, Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2023

Comments

Most Popular

काबा दिखा दे मौला / Kaba Dikha De Maula

मेरे हुसैन तुझे सलाम / Mere Husain Tujhe Salaam

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai

ऐ सबा मुस्तफ़ा से कह देना ग़म के मारे सलाम कहते हैं / Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Mare Salam Kehte Hain (All Versions)