ADVERTISEMENT

या रसूलल्लाह तेरे दर की फ़ज़ाओं को सलाम / Ya Rasoolallah Tere Dar Ki Fazaon Ko Salam

या रसूलल्लाह ! तेरे दर की फ़ज़ाओं को सलाम
गुंबद-ए-ख़ज़रा की ठंडी ठंडी छाओं को सलाम

मस्जिद-ए-नबवी के सुब्हों और शामों को सलाम
या नबी ! तेरे ग़ुलामों के ग़ुलामों को सलाम

वालिहाना जो तवाफ़-ए-रौज़ा-ए-अक़्दस करें
मस्त-ओ-बेख़ुद वज्द करती उन हवाओं को सलाम

शहर-ए-बतहा के दर-ओ-दीवार पे लाखों दुरूद
ज़ेर-ए-साया रहने वालों की सदाओं को सलाम

जो मदीने के गली कूचों में देते हैं सदा
उन फ़क़ीरों, राह-गीरों और गदाओं को सलाम

माँगते हैं जो वहाँ शाह-ओ-गदा बे-इम्तियाज़
दिल की हर धड़कन में शामिल उन दु'आओं को सलाम

ऐ ज़हूरी ! ख़ुश-नसीबी ले गई जिन को हिजाज़
उन के अश्कों और उन की इल्तिजाओं को सलाम

जो पढ़ा करते हैं रोज़-ओ-शब तेरे दरबार में
पेश करता है ज़हूरी उन सलामों को सलाम


शायर:
मुहम्मद अली ज़हूरी क़सूरी

ना'त-ख़्वाँ:
सिद्दीक़ इस्माइल
ओवैस रज़ा क़ादरी
सरवर हुसैन नक़्शबंदी





ya rasoolallah ! tere dar ki fazaao.n ko salaam
gumbad-e-KHazra ki Thandi Thandi chhaao.n ko salaam

masjid-e-nabawi ke subho.n aur shaamo.n ko salaam
ya nabi ! tere Gulaamo.n ke Gulaamo.n ko salaam

waalihaana jo tawaaf-e-rauza-e-aqdas kare.n
mast-o-beKHud wajd karti un hawaao.n ko salaam

shehr-e-bat.ha ke dar-o-deewaar pe laakho.n durood
zer-e-saaya rehne waalo.n ki sadaao.n ko salaam

jo madine ke gali koocho.n me.n dete hai.n sada
un faqeero.n, raah-geero.n aur gadaao.n ko salaam

maangte hai.n jo wahaa.n shaah-o-gada be-imtiyaaz
dil ki har dha.Dkan me.n shaamil un du'aao.n ko salaam

ai Zahoori ! KHush-naseebi le gai jin ko hijaaz
un ke ashko.n aur un ki iltijaao.n ko salaam

jo pa.Dha karte hai.n roz-o-shab tere darbaar me.n
pesh karta hai Zahoori un salaamo.n ko salaam


Poet:
Muhammad Ali Zahoori

Naat-Khwaan:
Siddiq Ismail
Owais Raza Qadri
Sarwar Hussain Naqshbandi
Ya Rasoolallah Tere Dar Ki Fazaon Ko Salam Lyrics in Hindi | Gumbad e Khazra Ki Thandi Thandi Chaon Ko Salam Lyrics | Ya Rasool Allah Tere Dar Ki Fazaon Ko Salam Lyrics | fazao gumbade chhaon chao chhao lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2023

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

मीराँ वलियों के इमाम / Meeran Waliyon Ke Imam

इमदाद कुन इमदाद कुन या ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus-e-Azam Dastagir | Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghous-e-Azam Dastagir

सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़र-ए-करम ख़ुदारा / Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Nazar-e-Karam Khudara

फ़ासलों को ख़ुदारा मिटा दो | जालियों पर निगाहें जमी हैं / Faslon Ko Khudara Mita Do | Jaliyon Par Nigahen Jami Hain

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

क़ादरी आस्ताना सलामत रहे | मुस्तफ़ा का घराना सलामत रहे / Qadri Aastana Salamat Rahe | Qadri Astana Salamat Rahe | Mustafa Ka Gharana Salamat Rahe

ख़ुदा के फ़ज़्ल से हम पर है साया ग़ौस-ए-आज़म का / Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saya Ghous-e-Azam Ka

आस्ताँ है ये किस शाह-ए-ज़ीशान का मरहबा मरहबा / Aastan Hai Ye Kis Shah-e-Zeeshan Ka Marhaba Marhaba

मेरे ग्यारहवीं वाले पीर ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Mere Gyarahwin Wale Peer Ghaus-e-Azam Dastgeer | Mere Gyarvi Wale Peer Ghous-e-Azam Dastgeer