दरिया हुसैन का है समंदर हुसैन का / Dariya Hussain Ka Hai Samandar Hussain Ka

दरिया हुसैन का है, समंदर हुसैन का
प्यासों के वास्ते है ये लंगर हुसैन का

है आरज़ू वहाँ भी मिले दर हुसैन का
जन्नत में बन के जाऊँ मैं नौकर हुसैन का

सूरज ने अपने सर को अदब से झुका लिया
नेज़े पे जब बलंद हुआ सर हुसैन का

सब जानते हैं कितने बहादर हुसैन हैं
मौला 'अली के हाथ का ख़ंजर हुसैन हैं

राह-ए-ख़ुदा में घर दिया और सर भी दे दिया
अब सोचिए कि कितने दिलावर हुसैन हैं

कोई यज़ीद कैसे भला सर उठाएगा
मौजूद रब के फ़ज़्ल से घर घर हुसैन हैं

चौदह सौ साल पहले गया था जो क़ाफ़िला
उस क़ाफ़िले के आज भी रहबर हुसैन हैं

ज़हरा के घर में लाल-ओ-जवाहिर हैं बेशुमार
जो सब से क़ीमती है वो गौहर हुसैन हैं

उस का भी हश्र होगा यज़ीदों के साथ साथ
जिस ने कहा कि मेरे बराबर हुसैन हैं

इब्न-ए-ज़ियाद का तो वहीं दम निकल गया
हुर्र ने कहा जो मेरा मुक़द्दर हुसैन हैं


ना'त-ख़्वाँ:
ज़ैन-उल-आबिदीन कानपुरी





dariya husain ka hai, samandar husain ka
pyaaso.n ke waaste hai ye langar husain ka

hai aarzoo waha.n bhi mile dar husain ka
jannat me.n ban ke jaau.n mai.n naukar husain ka

sooraj ne apne sar ko adab se jhuka liya
neze pe jab baland huaa sar husain ka

sab jaante hai.n kitne bahaadar husain hai.n
maula 'ali ke haath ka KHanjar husain hai.n

raah-e-KHuda me.n ghar diya aur sar bhi de diya
ab sochiye ki kitne dilaawar husain hai.n

koi yazeed kaise bhala sar uThaaega
maujood rab ke fazl se ghar ghar husain hai.n

chaudah sau saal pehle gaya tha jo qaafila
us qaafile ke aaj bhi rahbar husain hai.n

zahra ke ghar me.n laal-o-jawaahir hai.n beshumaar
jo sab se qeemti hai wo gauhar husain hai.n

us ka bhi hashr hoga yazeedo.n ke saath saath
jis ne kaha ki mere baraabar husain hai.n

ibn-e-ziyaad ka to wahi.n dam nikal gaya
hurr ne kaha jo mera muqaddar husain hai.n


Naat-Khwaan:
Zainul Abedin Kanpuri
Dariya Hussain Ka Hai Samandar Hussain Ka Lyrics in Hindi | Pyason Ke Waste Hai Ye Langar Hussain ka Lyrics | Zainul Abedin Naat Lyrics | Muharram Kalam Lyrics | darya samundar pyaso wasite lunger lungar lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2023

Comments

Most Popular

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain (All Versions)

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

हम ने आँखों से देखा नहीं है मगर उन की तस्वीर सीने में मौजूद है | उन का जल्वा तो सीने में मौजूद है / Hum Ne Aankhon Se Dekha Nahin Hai Magar Unki Tasweer Seene Mein Maujood Hai | Un Ka Jalwa To Seene Mein Maujood Hai

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al-Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer

मुस्तफ़ा, जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम (मुख़्तसर) / Mustafa, Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam (Short)

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

हो करम सरकार अब तो हो गए ग़म बे-शुमार / Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gaye Gham Beshumar

फ़ज़्ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना | मदनी सेहरा / Fazl-e-Rabb-e-Pak Se Beta Mera Dulha Bana | Madani Wedding Sehra