दिल की ये आरज़ू है सरकार आते जाते / Dil Ki Ye Aarzoo Hai Sarkar Aate Jate

दिल की ये आरज़ू है, सरकार ! आते-जाते
मैं आप को सुनाऊँ अश'आर आते-जाते

उठ कर अभी हैं आए, फिर दौड़े जा रहे हैं
थकते नहीं हैं 'आशिक़ सौ बार आते-जाते

ऐ काश ! मेरा होता छोटा सा घर वहीं पर
मैं सुब्ह-ओ-शाम करता दीदार आते-जाते

हसरत यही है सर पर दस्त-ए-शिफ़ा वो रख दें
हो जाऊँ जब वहाँ मैं बीमार आते-जाते

जिस रास्ते से हो कर हज़रत 'उमर गुज़रते
उस रह पे काँपते थे कुफ़्फ़ार आते-जाते

जाएगा जो भी मिलने इक बार मुस्तफ़ा से
उस को 'अली मिलेंगे दो बार आते-जाते

हरगिज़ न याद आए फिर उस को मन्न-ओ-सलवा
तयबा में जो भी कर ले इफ़्तार आते-जाते

जिन को नहीं है उल्फ़त सरदार-ए-अंबिया से
वो लोग हैं मदीना बे-कार आते-जाते

गुस्ताख़-ए-मुस्तफ़ा है इब्लीस का ख़लीफ़ा
बख़्शा नहीं है जाता मक्कार आते-जाते


ना'त-ख़्वाँ:
मुहम्मद अली फ़ैज़ी





dil ki ye aarzoo hai, sarkaar ! aate-jaate
mai.n aap ko sunaau.n ash'aar aate-jaate

uTh kar abhi hai.n aae, phir dau.De jaa rahe hai.n
thakte nahi.n hai.n 'aashiq sau baar aate-jaate

ai kaash ! mera hota chhoTa saa ghar wahi.n par
mai.n sub.h-o-shaam karta deedaar aate-jaate

hasrat yahi hai sar par dast-e-shifa wo rakh de.n
ho jaau.n jab wahaa.n mai.n beemaar aate-jaate

jis raaste se ho kar hazrat 'umar guzarte
us rah pe kaanpte the kuffaar aate-jaate

jaaega jo bhi milne ik baar mustafa se
us ko 'ali milenge do baar aate-jaate

hargiz na yaad aae phir us ko mann-o-salwa
tayba me.n jo bhi kar le iftaar aate-jaate

jin ko nahi.n hai ulfat sardaar-e-ambiya se
wo log hai.n madina be-kaar aate-jaate

gustaaKH-e-mustafa hai iblees ka KHaleefa
baKHsha nahi.n hai jaata makkaar aate-jaate


Naat-Khwaan:
Muhammad Ali Faizi
Dil Ki Ye Aarzoo Hai Sarkar Aate Jate Lyrics | Dil Ki Ye Aarzoo Hai Sarkar Aate Jaate Naat Lyrics in Hindi | Dil Ki Ye Arzoo Hai Sarkar Aate Jate Lyrics | dilki arzo aarzu hei hay ate | Muhammad Ali Faizi Naat Lyrics in Hindi | lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2024

Comments

Most Popular

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain (All Versions)

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

हम ने आँखों से देखा नहीं है मगर उन की तस्वीर सीने में मौजूद है | उन का जल्वा तो सीने में मौजूद है / Hum Ne Aankhon Se Dekha Nahin Hai Magar Unki Tasweer Seene Mein Maujood Hai | Un Ka Jalwa To Seene Mein Maujood Hai

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al-Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer

मुस्तफ़ा, जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम (मुख़्तसर) / Mustafa, Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam (Short)

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

हो करम सरकार अब तो हो गए ग़म बे-शुमार / Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gaye Gham Beshumar

फ़ज़्ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना | मदनी सेहरा / Fazl-e-Rabb-e-Pak Se Beta Mera Dulha Bana | Madani Wedding Sehra