ADVERTISEMENT

हज़ारों में बहत्तर तन थे तस्लीम-ओ-रज़ा वाले / Hazaron Mein Bahattar Tan The Tasleem-o-Raza Wale

हज़ारों में बहत्तर तन थे तस्लीम-ओ-रज़ा वाले
हक़ीक़त में ख़ुदा इन का था और ये थे ख़ुदा वाले

ये ना'रा हुर का था जिस वक़्त फ़ौज-ए-शाम से निकला
कि देखो यूँ निकलते हैं जहन्नम से ख़ुदा वाले

किसी ने जब वतन पूछा तो यूँ हज़रत ने फ़रमाया
मदीने वाले कहलाते थे अब हैं कर्बला वाले

हुसैन इब्न-ए-'अली की क्या मदद कर सकता था कोई
ये ख़ुद मुश्किल-कुशा थे और थे मुश्किल-कुशा वाले

दवा-ए-दर्द-ए-'इस्याँ पंजतन के दर से मिलती है
ज़माने में यही मशहूर हैं दारुश्शिफ़ा वाले


ना'त-ख़्वाँ:
मौलाना मुहम्मद शफ़ी ओकाड़वी



हज़ारों में बहत्तर तन थे तस्लीम-ओ-रज़ा वाले
हक़ीक़त में ख़ुदा इन का था और ये थे ख़ुदा वाले

गला कटवा के साबित कर गए हैं कर्बला वाले
क़ज़ा से भी नहीं डरते हैं तस्लीम-ओ-रज़ा वाले

पुकार उट्ठेंगे दुश्मन आप के हमलों से घबरा के
यही तो हैं 'अली वाले, नबी वाले, ख़ुदा वाले

किसी ने जब वतन पूछा तो ये हज़रत ने फ़रमाया
मदीने वाले कहलाते थे अब हैं कर्बला वाले

दवा-ए-दर्द-ए-'इस्याँ पंजतन के दर से मिलती है
ज़माने में यही मशहूर हैं दारुश्शिफ़ा वाले

यज़ीदी पाएँगे दोज़ख़, है दोज़ख़ उन की क़िस्मत में
जिनाँ पाएँगे अहल-ए-बैत की मदह-ओ-सना वाले

हुसैन इब्न-ए-'अली की क्या मदद कर सकता था कोई
वो ख़ुद मुश्किल-कुशा थे और हैं मुश्किल-कुशा वाले

हुसैन इब्न-ए-'अली का मर्तबा अल्लाह से पूछो
यही तो हैं क़ज़ा-ए-दीन पर हक़्क़-ओ-बक़ा वाले

ये ना'रा हुर का था जिस वक़्त फ़ौज-ए-शाम से निकला
कि देखो यूँ निकलते हैं जहन्नम से ख़ुदा वाले

परेशानी में मैं जब, राज़ ! उन को याद करता हूँ
बचा लेते हैं आफ़त से मुझे मुश्किल-कुशा वाले


ना'त-ख़्वाँ:
साबिर रज़ा अज़हरी सुरत





hazaaro.n me.n bahattar tan the tasleem-o-raza waale
haqeeqat me.n KHuda in ka tha aur ye the KHuda waale

ye naa'ra hurr ka tha jis waqt fauj-e-shaam se nikla
ki dekho yu.n nikalte hai.n jahannam se KHuda waale

kisi ne jab watan poochha to yu.n hazrat ne farmaaya
madine waale kehlaate the ab hai.n karbala waale

husain ibn-e-'ali ki kya madad kar sakta tha koi
ye KHud mushkil-kusha the aur the mushkil-kusha waale

dawa-e-dard-e-'isyaa.n panjtan ke dar se milti hai
zamaane me.n yahi mash.hoor hai.n daarushshifa waale


Naat-Khwaan:
Maulana Muhammad Shafi Okarvi



hazaaro.n me.n bahattar tan the tasleem-o-raza waale
haqeeqat me.n KHuda in ka tha aur ye the KHuda waale

gala kaTwa ke saabit kar gae hai.n karbala waale
qaza se bhi nahi.n Darte hai.n tasleem-o-raza waale

pukaar uTThenge dushman aap ke hamlo.n se ghabra ke
yahi to hai.n 'ali waale, nabi waale, KHuda waale

kisi ne jab watan poochha to ye hazrat ne farmaaya
madine waale kehlaate the ab hai.n karbala waale

dawa-e-dard-e-'isyaa.n panjtan ke dar se milti hai
zamaane me.n yahi mash.hoor hai.n daarushshifa waale

yazeedi paaenge dozaKH, hai dozaKH un ki qismat me.n
jinaa.n paaenge ahl-e-bait ki mad.h-o-sana waale

husain ibn-e-'ali ki kya madad kar sakta tha koi
wo KHud mushkil-kusha the aur hai.n mushkil-kusha waale

husain ibn-e-'ali ka martaba allah se poochho
yahi to hai.n qaza-e-deen par haqq-o-baqa waale

ye naa'ra hurr ka tha jis waqt fauj-e-shaam se nikla
ki dekho yu.n nikalte hai.n jahannam se KHuda waale

pareshaani me.n mai.n jab, Raaz ! un ko yaad karta hu.n
bacha lete hai.n aafat se mujhe mushkil-kusha waale


Naat-Khwaan:
Sabir Raza Azhari Surat

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

मीराँ वलियों के इमाम / Meeran Waliyon Ke Imam

इमदाद कुन इमदाद कुन या ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus-e-Azam Dastagir | Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghous-e-Azam Dastagir

सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़र-ए-करम ख़ुदारा / Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Nazar-e-Karam Khudara

फ़ासलों को ख़ुदारा मिटा दो | जालियों पर निगाहें जमी हैं / Faslon Ko Khudara Mita Do | Jaliyon Par Nigahen Jami Hain

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

क़ादरी आस्ताना सलामत रहे | मुस्तफ़ा का घराना सलामत रहे / Qadri Aastana Salamat Rahe | Qadri Astana Salamat Rahe | Mustafa Ka Gharana Salamat Rahe

ख़ुदा के फ़ज़्ल से हम पर है साया ग़ौस-ए-आज़म का / Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saya Ghous-e-Azam Ka

आस्ताँ है ये किस शाह-ए-ज़ीशान का मरहबा मरहबा / Aastan Hai Ye Kis Shah-e-Zeeshan Ka Marhaba Marhaba

मेरे ग्यारहवीं वाले पीर ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Mere Gyarahwin Wale Peer Ghaus-e-Azam Dastgeer | Mere Gyarvi Wale Peer Ghous-e-Azam Dastgeer