हूँ ख़ाक मगर आलम-ए-अनवार से निस्बत है / Hun Khak Magar Aalam-e-Anwaar Se Nisbat Hai

हूँ ख़ाक मगर 'आलम-ए-अनवार से निस्बत है
मैं कुछ भी नहीं लेकिन सरकार से निस्बत है

दुनिया की शहंशाही रखता हूँ मैं ठोकर पर
कौनैन के उस मालिक-ओ-मुख़्तार से निस्बत है

मैं ख़ाक का पुतला हूँ, वो 'अर्श के राही हैं
इस पार का बासी हूँ, उस पार से निस्बत है

हैं रोज़-ए-अज़ल से मेरी गुट्टी में वफ़ाएँ
नाज़ा हूँ कि 'अब्बास 'अलम-दार से निस्बत है

सर झुक नहीं सकते सर-ए-महशर भी हमारे
सर इस लिए ऊँचे हैं, सरदार से निस्बत है

हम मानने वाले हैं हुसैन इब्न-ए-'अली के
वक़्त आए अगर दीं पे तो फिर दार से निस्बत है

सरकार के दामन से, अल्ताफ़ ! हूँ वाबस्ता
ग़म पास भी क्यूँ आएँ कि ग़म-ख़्वार से निस्बत है


शायर:
सय्यिद अल्ताफ़ शाह काज़मी

ना'त-ख़्वाँ:
उमेर मुनीर क़ादरी
तल्हा क़ादरी





hu.n KHaak magar 'aalam-e-anwaar se nisbat hai
mai.n kuchh bhi nahi.n lekin sarkaar se nisbat hai

duniya ki shahenshaahi rakhta hu.n mai.n Thokar par
kaunain ke us maalik-o-muKHtaar se nisbat hai

mai.n KHaak ka putla hu.n, wo 'arsh ke raahi hai.n
is paar ka baasi hu.n, us paar se nisbat hai

hai.n roz-e-azal se meri guTTi me.n wafaae.n
naazaa hu.n ki 'abbas 'alam-daar se nisbat hai

sar jhuk nahi.n sakte sar-e-mahshar bhi hamaare
sar is liye unche hai.n, sardaar se nisbat hai

ham maan.ne waale hai.n husain ibn-e-'ali ke
waqt aaye agar dee.n pe to phir daar se nisbat hai

sarkaar ke daaman se, Altaaf ! hu.n waabasta
Gam paas bhi kyu.n aae.n ki Gam-KHwaar se nisbat hai


Poet:
Syed Altaf Shah Kazmi

Naat-Khwaan:
Umer Munir Qadri
Talha Qadri
Hun Khak Magar Lyrics | Sarkar Se Nisbat Hai Lyrics in Hindi | Hun Khak Magar Alam e Anwar Se Nisbat Hai Lyrics in Hindi | Hoon Khak Magar Lyrics | aalam anwaar hei hain hein | Main kuch bhi nahi lekin sarkar se nisbat hai lyrics | 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2026 | Best Site For Naat Lyrics in Hindi |

Comments

Most Popular

काबा दिखा दे मौला / Kaba Dikha De Maula

मेरे हुसैन तुझे सलाम / Mere Husain Tujhe Salaam

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai

ऐ सबा मुस्तफ़ा से कह देना ग़म के मारे सलाम कहते हैं / Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Mare Salam Kehte Hain (All Versions)